Album Cover Aazma Le

Aazma Le

Young Stunners

7

Khud se bhi mila kare

Sarr utha ke chala kare

Khuda ke tareeke hum nahi samajh sakte, hum usse kya gila kare?Duniya sang dil banti meri dushman

Hum kam-az-kam khud se hi sulah kare

Kam bola kare, zyada suna kare

Rab deta hai maafi phir gunaah kare

Ye taqaat thikaane badal sakti

Qalam ki taaqat takhat bhi palat deti

Likhaari jaan leva hun par likhayi hi roj ab jeene ka sabab deti

Warna zindagi mauke toh kam dety

Mehfilo me toh ronak bhi humse thi

Idhar hustle karte-karte pura din gaya

Urdu rap main, Urdu rap mere bin kya?

Facts hai ye flex nahi

Mujhe Ghalib jaisa likhne ka faiz nahi

Wo habib hai mere toh mujhse durr kyun?

Wo hareef hai mere toh unki khair nahi

Aaj kal, bheje mujhe text sab

Whatsapp pe they wanna know what′s up

Meri zindagi kitno ki hasrat

Main misaal mera naam lete maslan

Dil phenk ke na dil todd, Billboard pe ab dikhe shakal inko

Mera bank balance lagta tha pin code

Ab safar dekh sirf sifar gin tu

Aye, I belong here, jaane ka mood nahi hai

Headliners hum, teri koi news nahi hai

Kya wo sunte par karte mehsoos nahi ye

Waade toote par toote asool nahi ye

Jo bhi hustle thi gayi wo fuzool nahi hai

Lekin duniya toh faani hai, bhool nahi ye

Hum fanaa huye iss fanoon ki khaatir

Paagalpan ki hadd tak junoon bhi hai

Tum subh rakh lo, main shab rakhta hun

Main jalwa, jalaal aur karb rakhta hun

Iss hi dil me rakhta hun dard apno ka

Dil ka ek khaana ab sard rakhta hun

Zarurat aur khwahish me farq rakhta hun

Hisaab se lafzo me harf rakhta hun

Dildaar hun main bada par dil shikasta hun

The joke is on you, main tum pe hasta hun

Sehma tha dil par tha yaqeen

Ladkhadate kadam par rasta wohi

Siyaahi me doobi zindagi toh seekha udna tabhi

Aazma le, zakhmon ko tu apna le

Mashal tu dil ki jala le

Dekhegi duniya sabhi

Aazma le, zakhmon ko tu apna le

Mashal tu dil ki jala le

Dekhegi duniya sabhi

(Music)

Baate ye mukhtasar, main karta raha mustaqil

Nahi hote mushtamil, kahani ye mukhtalif

Ye khwaab huye muntaqil, Kaghaz mushta'il

Urdu rap aur main uska dil, munafiq jo munfa′il

Log muntazir they iss qadar, phir kis ka darr?

Hum muntakhab, sab muntashar, jab chunte lafz

Ab sunte sab, ye khush khabar, jo bad-nazar, wo darguzar

Ye dhunn pakad, kyun besabar? kyun be asar? tu le sabaq!

Ab befikar ye sher arz, motabar ho beshtar

Ho der jab toh be adab, ye khel ab

Lagta na mumkin

Main aur mere khwaab, jeena chahta hun main khul ke

Qalam ye azaad, yahan nizaam saare ulte

Lagi jaise aag, shehar baarishon me dhulte

Dil me ho dard jab yahan kalakaar rulte

Zindagi paheli, bujho jaano kitne uljhe

Andhere me chiraag jaise hi ye lehja sulge

Kate mere parr phir bhi jaane kaise udte

Mujhe udne de, toote jo dil aaj wo judne de

Inn aankhon ko khushiyon se bharne de

Alfaaz mere dil me utarne de

Manzil toh khush ho theharne pe

Ye ghar mera, jadd ko na marne de

Ubhrenge, suraj ye dhalne de

Waqt lage khud ko balalne me

Magar waqt ye badalta hai

Safar ye taveel beshak nange pair chalta reh

Chubhe pade qeel, khuda zakhmo ko bharta reh

Khud pe yaqeen hai toh zamane se ladta reh

Tha hi na kuch khone ko, har ek gully, har ek kone ko

Main karta hun mutaasir apni baaton se, chal hone do

Jo so rahe the sone do, main likhne baitha pauney do

Raatein na mili sone ko, in khwaab'on ko pirone do

Dekha tha jo kal wo toh jee raha hun aaj main

Likhe asal haadse, saare bane hai khaak se

Jaana hai humne khaak me, ye ilam mera baant de

Nahi koi bade baap ke, hai fakhar apne baap pe

Aaj bhi iss shayari me saadgi, jazbaat bhi aur ye ehsaas bhi

Hai sabar ka phal meetha aaj bhi

Ye hunar, dil'on ki awaaz bhi

Sehma tha dil par tha yaqeen

Ladkhadate kadam par rasta wohi

Siyaahi me doobi zindagi toh seekha udna tabhi

Aazma le, zakhmon ko tu apna le

Mashal tu dil ki jala le

Dekhegi duniya sabhi

Aazma le, zakhmon ko tu apna le

Mashal tu dil ki jala le

Dekhegi duniya sabhi