Album Cover Aditya Rikhari - Paaro (Romanized)

Aditya Rikhari - Paaro (Romanized)

Genius Romanizations

7

[Intro]

Paaro, meri paaro

Isharo-isharo mein baatein samajh lena

Dil ke tukde hazaro

Bikharne se Pehle aaj pakad lena

[Verse 1]

Ke sharabe khatam

Diye saare zakham

Tere bhar na sake, soniya

Hona raate khatam

Ke sulade sanam

Mujhe baahon mein mera

Ek jaan gayi, ek jaati nahi

Ek aur sitam na kar

Jise paana tha, use kho baithe

Yeh kaafi nahi hai kya?

[Instrumental-Break]

[Verse 2]

Ke ab kuch hosh nahi hai

Tu mujhko pila degi kya?

Mein pi kar jo bhi kahunga

Tu subha bhula degi kya?

Tu baahon mein rakh le do pal

Phir chaahe dur hata de

Mai god mein rakh lu agar sar

Tu mujhko sula degi kya?

Jaati nahi teri yaadein kasam se

Ke dil ka bharam hai tu

Baaki nahi ab koi sharam, jaana

Ek dharam hai tu

Jo kehti thi "Mat piyo na"

Meri jaan zeher hain yeh

Usey dekhta hu koi gair chuye

Ab aur zeher kya piyu?

[Instrumental Outro]